Friday, April 15, 2011

Lyrics MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI (SAW)

Lyrics MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI (SAW)

(Author/ Poet : Muzaffar Warsi)

MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
kamaal-e-khallaq zaat Uski
jamaal-e-hasti hayaat Uski
bashar nahi azmat-e-bashar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Woh sharah-e-ehkaam-e- Haq Ta'ala
Woh khud he Qanoon... Khud hawala
Woh khud he Qur'an... khud he Qari
Woh aap mehtaab aap Haala
Woh aqs bhi.. aur aaina bhi
Woh nukta bhi ...khat bhi ...da'ira bhi
Woh khud nazaara hai.. khud nazar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

sha'oor laaya Kitab laaya
Woh hashr tak ka nisaab laya
diya bhi kaamil nizaam Us ne 
aur Aap he inqualaab laya
Woh ilm ki aur amal ki had bhi 
azal bhi Uska hai aur abad bhi
Woh har zamane ka Raahbar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

bas aik mashkeeza ik chatai
zara se jau aik char paayi
badan pe kapde bhi vaajibi se
na khush libasi na khush qaba'i
yehi hai kul kainaat Jiski
gini na jaye sifaat Jiski
wohi to Sultaan-e-bahr-o-bar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Jo Apna daaman lahoo se bhar le
museebatein Apni Jaan par le
Jo tegh zan se lade Nihatta
Jo ghaalib aakar bhi sulha kar le
Aseer dushman ki chaah mein bhi
mukhalifon ki nigaah mein bhi
Ameen hai Sadiq hai Motabar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Jiss'e shah-e-shash jehat dekhun
Usay ghareebon ke saath dekhun
Inan-e-kaun-o-makan Jo thaamey
kudal par bhi Woh haath dekhun
lage jo mazdoor Shah aisa
na zar na dhan Sarbarah aisa
falak nasheen ka zameen pe ghar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

Woh khalwaton mein bhi saf ba saf bhi
Woh iss taraf bhi woh uss taraf bhi
mahaaz o mimbar thikaane Us ke
Woh sar ba sijda bhi sar ba saf bhi
kahin woh Moti ..kahin Sitaara
Woh jame-ee-yat ka ista'ara
Woh subh-e-tahzeeb ka Gajar hai
MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI


Kalaam by the Great poet "Muzaffar Warsi Sahab"

28 comments:

  1. subhanallah,,, sorry, lekin aap ne aik mistake kr di ha, aur wo bohat bari mistake hai.. in 5th verse there is
    "inan e kon-o-makan jo thamay"
    phir aap ne likha "khudaai pr b wo hath dekhon"
    yahan "khudaai" nai "kudaal" hai which means "pickaxe" or "shovel", i am not sure, but its a gardening tool, later in the verse it is also mentioned that "lage jo mazdoor shah aisa" which also makes sense, ye AAP S.A.W ki sadgi ki bat ho rai ha.. its not "khudaai" u must edit it..
    thank you

    ReplyDelete
    Replies
    1. jazakAllah radon for pointing out the mistake it was a big mistake no doubt i have attempted to make it more clear as following.


      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
      kamaal-e-khallaq zaat Uski
      jamaal-e-hasti hayaat Uski
      bashar nahi azmat-e-bashar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      Woh sharah-e-ehkaam-e- Haq Ta'ala
      Woh khud he Qanoon Khud hawala
      Woh khud he Qur'an khud he Qari
      Woh aap mehtaab aap Haala
      Woh aqs bhi aur aaina bhi
      Woh nukta bhi khat bhi da'ira bhi
      Woh khud nazaara hai khud nazar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      sha'oor laaya Kitab laaya
      Woh hashr tak ka nisaab laya
      diya bhi kaamil nizaam Us ne
      aur Aap he inqualaab laya
      Woh ilm ki aur amal ki had bhi
      azal bhi Uska hai aur abad bhi
      Woh har zamane ka Raahbar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      Woh Adam-o-Nooh se zyada
      buland himmat buland iraada
      Woh Zohd-e-Eesa se koson aagey
      jo sab ki manzil woh Uska jaada
      har ik payambar nehan hai Us mein
      hujoom-e-paighambaran hai Us mein
      Woh jis taraf hai Khuda udhar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      bas aik mashkeeza ik chatai
      zara se jau aik char paayi
      badan pe kapde bhi vaajibi se
      na khush libasi na khush qaba'i
      yehi hai kul kainaat Jiski
      gini na jaye sifaat Jiski
      wohi to Sultaan-e-bahr-o-bar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      Jo Apna daaman lahoo se bhar le
      museebatein Apni Jaan par le
      Jo tegh zan se lade Nihatta
      Jo ghaalib aakar bhi sulha kar le
      Aseer dushman ki chaah mein bhi
      mukhalifon ki nigaah mein bhi
      Ameen hai Sadiq hai Motabar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      Jiss'e shah-e-shash jehat dekhun
      Usay ghareebon ke saath dekhun
      Inan-e-kaun-o-makan Jo thaamey
      kudal par bhi Woh haath dekhun
      lage jo mazdoor Shah aisa
      na zar na dhan Sarbarah aisa
      falak nasheen ka zameen pe ghar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      Woh khalwaton mein bhi saf ba saf bhi
      Woh iss taraf bhi woh uss taraf bhi
      mahaaz o mimbar thikaane Us ke
      Woh sar ba sijda bhi sar ba saf bhi
      kahin woh Moti kahin Sitaara
      Woh jame-ee-yat ka ista'ara
      Woh subh-e-tahzeeb ka Gajar hai
      MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI

      Delete
    2. JazakAllah Razdon , for correction , & JazakAllah Muhammad ali for composing again .. i have made correction ..and sorry for being late..

      Delete
    3. this simple and beutiful naat.
      god bless mohtaram muzaffar warsi.........

      Delete
    4. this simple and beutiful naat.
      god bless mohtaram muzaffar warsi.........

      Delete
    5. Aap Ka Sukriya Muzafar Warsi Sahab Kay Darajaat Allha Buland Kare Aamin

      Delete
    6. aoa
      ap mujy is NAAT k urdy lyrics send kr sakty plz

      Delete
    7. Bhai wo kudal hi to likha h. Aapko khudai kaise dikh gaya

      Delete
  2. Sir Please! Write that in Urdu fonts!

    ReplyDelete
    Replies
    1. میراپیمبر عظیم تر ہے
      کمال خلّاق ذات اس کی
      جمال ہستی حیات اس کی
      بشر نہیں عظمت بشر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے 
      وہ شرح احکام حق تعالی
      وہ خود ہی قانون خود حوالہ
      وہ خود ہی قرآن خود ہی قاری
      وہ آپ مہتاب آپ ہالہ
      وہ عکس بھی اور آئینہ بھی
      وہ خط بھی نقطہ بھی دائرہ بھی
      وہ خود نظارہ ہے خود نظر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے
      شعور لایا کتاب لایا
      وہ حشر تک کا نصاب لایا
      دیا بھی کامل نظام اس نے
      اور آپ ہی انقلاب لایا
      وہ علم کی اور عمل کی حد بھی
      ازل بھی اس کا ہے اور ابد بھی
      وہ ہر زمانے کا راہبر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے
      وہ آدم و نوح سے زیادہ
      بلند ہمت بلند ارادہ
      وہ زہد عیسی سے کوسوں آگے
      جو سب کی منزل وہ اس کا جادہ
      ہر اک پیمبر نہاں ہے اس میں
      ہجوم پیغمبراں ہے اس میں
      وہ جس طرف ہے خدا ادھر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے
      بس ایک مشکیزہ اک چٹائی
      ذرا سے جو ایک چارپائی
      بدن پہ کپڑے بھی واجبی سے
      نہ خوش لباسی نہ خوش قبائی
      یہی ہے کل کائنات جس کی
      گنی نہ جائیں صفات جس کی
      وہی تو سلطان بحروبر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے
      جو اپنا دامن لہو سے بھر لے
      مصیبتیں اپنی جان پر لے
      جو تیخ زن سے لڑے نہتا
      جو غالب آ کر بھی صلح کر لے
      اسیر دشمن کی چاہ میں بھی
      مخالفوں کی نگاہ میں بھی
      امیں ہے صادق ہے معتبر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے
      جسے شہ شش جہات دیکھوں
      اسے غریبوں کے ساتھ دیکھوں
      عنان کون و مکاں جو تھامے
      کدال پر بھی وہ ہاتھ دیکھوں
      لگے جو مزدور شاہ ایسا
      نہ زر نہ دھن سربراہ ایسا
      فلک نشیں کا زمیں پہ گھر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے
      وہ خلوتوں میں بھی صف بہ صف بھی
      وہ اس طرف بھی وہ اس طرف بھی
      محازو منبر ٹھکانے اس کے
      وہ سر بسجدہ بھی سر بکف بھی
      کہیں وہ موتی کہیں ستارہ
      وہ جامعیت کا استعارہ
      وہ صبح تہزیب کا گجر ہے
      میرا پیمبر عظیم تر ہے

      Delete
  3. no word's to praise over this simple and beutiful naat.
    god bless mohtaram muzaffar warsi............

    ReplyDelete
  4. میں نے اس سے خوبصورت نعت نہ پڑھی نہ سنی۔ سبحان اللہ ۔ ایک ایک لفظ دل میں اُترتا ہے۔ کیا عشق و محبت دل میں رکھ کر یہ نعت مظفر وارثی صاحب نے لکھی ہو گی۔ سبحان اللہ۔

    آپ کا بہت شکریہ اسے شیئر کرنے کا۔

    ReplyDelete
  5. TUM KISI KO CHAHO OR WOH TUMHE THUKRA DAIN TO YE US KI BAD NASIBI HAI.
    OR US K BAAD TUM US KO ZABARDASTI APNANA CHAHO TO YE TUMHARE NAFS KI ZILLAT HAI.
    "HAZRAT ALI
    Muzaffar Warsi Naat MP3

    ReplyDelete
  6. A.o.a Admin please theres another mistake in last para 5th row..
    Woh sar ba sijda bhi sar ba saf bhi actually its "sar ba kaf bhi".
    i just went through Warsi sahab's where he had recited himself.

    ReplyDelete
  7. Heart touching poetry.
    I love this naat
    Thank you MUZAFFAR WAARSI SAHIB

    ReplyDelete
  8. MA SHA ALLAH boht khob soprat NAAT likh ha warsi sab ny
    anyone can send me Urdu lyrics of this kalam

    ReplyDelete
  9. kudal hi likha hua tha pehle par leya karain

    ReplyDelete
  10. سبحان اللّلہ. دل کو بہت سرور ملتا ہے پڑھ کر

    ReplyDelete
  11. Mashahllah. Thanks for sharing this beautiful Naat Shareef and for those who corrected it. Allah may give you its reward ameen

    ReplyDelete